ye baat samajh main aai nahi
or ammi ne samjhai nahi
main kese meethi baat karon ?
jab meethi cheez koi khai nahi
yeh chand kesa mamo hay ?
jab ammi ka wo bhai nahi
kiun lambay baal hain bhaalu k?
kiun uski tind karai nahi?
kia wo bhi ganda bacha hay?
yaan jangle main koi naai nahi?
nani k husband nana hain
or daadi k husband dada hain
to kiun baji k husband baja nahi?
yeh baat samajh main aai nahi??

No comments:
Post a Comment